Skip to main content

Gourav Kumar

Change Language

Dil Se

kya kabhi asia nhi ho skta... ek shant si sham ho... jaha m or tum akele ho....
Frr main bolu or tum suno.. tum bolo or mai sunu...
kuch log zivan me aate hai... jo hansi ke piche ka dard bhi dund lete hai...
or kuch log rote hue ko bhi chod kar chale jate hai...
kabhi furset mile to mera hal janna
Frr dekh khushi ka jo nakap hai mera vo toot jayga
or tu mujhse mere asli roop se mil payga...
har bar jb hm jyada haste hai...
utna hi dard ander dabate hai...
kuch to kehna tha mujhe shyd...
per koi aisa mila hi nahi jo sun sake mujhe...
mehsoos to kar mujhe...ek bar jaan ke dekh
Kya pata tum khud ko dhund lo mere ander
Akele Rahne isiliye bhi jaruri hai...
taki ap apne asli roop se mil sako
Akele Rahne ka ek fayda ye bhi hai...
hum khud se mil skte hai...
Hum par kisi ke hone ka asar utna hi hota hai,
Jitna na hone ka,
Fark bas itna hai,
Koi paas rehkar bhi yaad nahi aata, koi door
rehkar bhi yaad rehta hai.
Tumhara liye kisi baat ka aam hona
kisi dusre ka khawab ho skta hai.....
sacha pyar vahi hota hai
Jisme ek dusre ko khush rkhne ki zidd hoti hai
Chahe pas rhkr ya door rkhkar
Zaroori nahi har mohabbat mukammal ho,
Kuch rishte adhure rehkar bhi poore hote hain
Mohabbat hi to hai...
koi karta hai, koi bs jatata hai...
uski khushi ke liye use chhod dena bhi mohabbat hi hoti hai....
tum usko soche bina kuch nhi sochte..
or vo tumhara name ane per tumhe andekha kr dete hai..
Pyar bas ek ehsaas hai...
vo mile ya na mile...
door ho ya pass...
Ek tujhe sochta hoon, aur phir teri yaadon mein kho jata hoon,
Mohabbat hai ye, ya koi naya mazaak mere dil ke saath, samajh nahi pata hoon,
Tu bas is kadar hai mujhse door, jaise chaand ko har raat dekhta hoon,
Roshni uski paas lagti hai, magar haath badha kar bhi chhoo nahi pata hoon.
Hum jaante hain ki zindagi mein humein kya karna hai,
Phir bhi na jaane kyun apne khwaabon ko sabse chhupa kar rakhte hain,
Zindagi itni chhoti hai, phir bhi khud ko rok kar rakhte hain,
Itna saahas bhi nahi kar paate ki do baatein unki sun lein, aur do apni keh dein.
Na hum kisi ke dil ki baat poori tarah sun paate hain,
Na apne dil ki baat kisi ko suna paate hain.
Zindagi ka zyada waqt kaam aur zimmedariyon mein nikal jaata hai,
Aur jab khud se baat karne ka waqt milta hai, toh pata chalta hai
hum khud ko hi kitna kam jaante hain.
Hum duniya ke saath chalte-chalte, khud se hi door ho jaate hain,
Dusron ki khushiyon ka khayal rakhte-rakhte, apni khushi bhool jaate hain,
Sabse poochte hain ki sab theek hai na,
Bas khud se kabhi nahi poochte ki hum sach mein theek hain ya nahi.
Mehsoos karta hoon use din-raat,
Jaane kyun ye ehsaas koi aam nahi,
Dil kehta hai baar-baar, zaroor usmein kuch khaas hai baat,
Par dimaag kehta hai, sambhal ja, ye mohabbat itni aasaan nahi.
Ye kaisa ehsaas hua hai,
Koi ajnabi sa dil ke paas hua hai,
Sochta nahi, padta use, vo khud-ba-khud yaad aata hai,
Na jaane kyun uska naam dil ko itna bhaata hai.
Na koi vaada hua, na koi baat khaas hui,
Phir bhi jaane kyun usse milne ki aas hui,
Kabhi khud se poochta hoon, ye kaisa raaz hai,
Jo kal tak ajnabi tha, aaj dil ke itne paas hai.
Na jaane ye mohabbat hai ya bas ek khoobsurat ehsaas,
Bas itna pata hai, ab har pal hota hai uska intezaar khaas.
maloom tha ki saha nahi jayga
Phir bhi dil laga baitha ek ajnabi se,
Jiska roz aana jaana bhi nahi tha.
Yoon to koi itne kareeb nahi aata,
Kuch to asar hua hoga dil pe uska, nahi to ajnabi yun hi yaad nahi aata.
Gourav Kumar